Zulfen Seena Naaf Kamar.. Jan Nisar Akhtar Poetry Zulfen seena naaf kamar, Ek nadi mein kitne bhanwar, Sadiyon sadiyon mera safar, Manzil manzil rahguzar. Kitna mushkil kitna kathin, Jine se jine ka hunar. Ganw mein aa kar shehar base, Ganw bichaare jayen kidhar. Phunkne wale socha bhi, Phailegi ye aag …
Read More »Zulf Shayari
Halqe Nahi Hain Zulf Ke Halqe Hain Jal Ke
Halqe nahi hain zulf ke halqe hain jal ke, Han aye nigah-e-shauq zara dekh-bhaal ke. Pahunche hain ta-kamar jo tere gesu-e-rasa, Mani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke. Bos-o-kanar-o-wasl-e-hasinan hai khub shaghl, Kamtar buzurg honge khilaf is khayal ke. Qamat se tere sane-e-qudrat ne aye hasin, Dikhla diya …
Read More »Teri Zulfon Mein Dil Uljha Hua Hai
Teri zulfon mein dil uljha hua hai, Bala ke pech mein aaya hua hai. Na kyunkar bu-e-khun name se aaye, Usi jallad ka likkha hua hai. Chale duniya se jis ki yaad mein hum, Ghazab hai wo hamein bhula hua hai. Kahun kya haal agli ishraton ka, Wo tha …
Read More »Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai..
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai… Ki zindagi teri zulfon ki narm chhanw mein Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi Ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi.. Ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar Tere …
Read More »Ye Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Accha
Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha, Is raat ki taqdir sanwar jaye to accha. Jis tarah se thodi si tere sath kati hai, Baqi bhi usi tarah guzar jaye to accha. Duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya, Ye bojh agar dil se utar jaye …
Read More »Mai-Khana-E-Hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gaye..
Mai-khana-e-hasti mein aksar hum apna thikana bhul gaye, Ya hosh mein jaana bhul gaye ya hosh mein aana bhul gaye. Asbab to ban hi jaate hain taqdir ki zid ko kya kahiye, Ek jaam lo pahuncha tha hum tak hum jaam uthana bhul gaye. Aaye the bikhere zulfon ko ek …
Read More »Zulf-E-Barham Sambhaal Kar Chaliye..
Zulf-e-barham sambhaal kar chaliye, Rasta dekh-bhaal kar chaliye. Mausam-e-gul hai apni banhon ko, Meri banhon mein dal kar chaliye. Mai-kade mein na baithiye taham, Kuchh tabiat bahaal kar chaliye. Kuchh na denge to kya ziyan hoga, Harj kya hai sawal kar chaliye. Hai agar qatl-e-am ki niyyat, Jism ki chhab …
Read More »Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahi Jata..
Aankhon se teri zulf ka saya nahi jata, Aaram jo dekha hai bhulaya nahi jata. Allah-re nadan jawani ki umangen, Jaise koi bazaar sajaya nahi jata. Aankhon se pilate raho saghar mein na dalo, Ab hum se koi jaam uthaya nahi jata. Bole koi hans kar to chhidak dete hain …
Read More »Ab Wo Tufan Hai Na Wo Shor Hawaon Jaisa..
Ab wo tufan hai na wo shor hawaon jaisa, Dil ka aalam hai tere baad khalaon jaisa. Kash duniya mere ehsas ko wapas kar de, Khamushi ka wahi andaz sadaon jaisa. Pas rah kar bhi hamesha wo bahut dur mila, Us ka andaz-e-taghaful tha khudaon jaisa. Kitni shiddat se bahaaron …
Read More »Aakhiri Baar Aah Kar Li Hai..
Aakhiri baar aah kar li hai, Maine khud se nibaah kar li hai. Apne sar ek bala to leni thi, Maine wo zulf apne sar li hai. Din bhala kis tarah guzaroge, Wasl ki shab bhi ab guzar li hai. Jaan-nisaron pe war kya karna, Maine bas haath mein sipar …
Read More »