Main Bhi Us Hall Mein Baitha Tha.. Gulzar Nazm !
Main bhi us hall mein baitha tha
Jahan parde pe ek film ke kirdar
Zinda-jawed nazar aate the
Unki har baat badi, soch badi, karm bade
Unka har ek amal
Ek tamsil thi bas dekhne walon ke liye
Main adakar tha us mein
Tum adakara thi
Apne mahbub ka jab haath pakad kar tumne
Zindagi ek nazar mein bhar ke
Uske sine pe bas ek aansoo se likh kar de di
Kitne sachche the wo kirdar
Jo parde par the
Kitne farzi the wo do haal mein baithe saye. !! -Gulzar Nazm
मैं भी उस हॉल में बैठा था
जहाँ पर्दे पे एक फ़िल्म के किरदार
ज़िंदा-जावेद नज़र आते थे
उनकी हर बात बड़ी, सोच बड़ी, कर्म बड़े
उनका हर एक अमल
एक तमसील थी बस देखने वालों के लिए
मैं अदाकार था उस में
तुम अदाकारा थीं
अपने महबूब का जब हाथ पकड़ कर तुमने
ज़िंदगी एक नज़र में भर के
उसके सीने पे बस एक आँसू से लिख कर दे दी
कितने सच्चे थे वो किरदार
जो पर्दे पर थे
कितने फ़र्ज़ी थे वो दो हाल में बैठे साए !! -गुलज़ार नज़्म