Use Ab Ke Wafaon Se Guzar Jaane Ki Jaldi Thi.. Rahat Indori Shayari !
Use ab ke wafaon se guzar jaane ki jaldi thi,
Magar is bar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi.
Irada tha ki main kuch der tufan ka maza leta,
Magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi.
Main apni mutthiyon mein qaid kar leta zameenon ko,
Magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi.
Main aakhir kaun sa mausam tumhaare naam kar deta,
Yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi.
Wo shakhon se juda hote hue patton pe hanste the,
Bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi.
Main sabit kis tarah karta ki har aaina jhutha hai,
Kai kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi. !!
उसे अब के वफ़ाओं से गुज़र जाने की जल्दी थी,
मगर इस बार मुझ को अपने घर जाने की जल्दी थी !
इरादा था कि मैं कुछ देर तूफ़ाँ का मज़ा लेता,
मगर बेचारे दरिया को उतर जाने की जल्दी थी !
मैं अपनी मुट्ठियों में क़ैद कर लेता ज़मीनों को,
मगर मेरे क़बीले को बिखर जाने की जल्दी थी !
मैं आख़िर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता,
यहाँ हर एक मौसम को गुज़र जाने की जल्दी थी !
वो शाख़ों से जुदा होते हुए पत्तों पे हँसते थे,
बड़े ज़िंदा-नज़र थे जिन को मर जाने की जल्दी थी !
मैं साबित किस तरह करता कि हर आईना झूठा है,
कई कम-ज़र्फ़ चेहरों को उतर जाने की जल्दी थी !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty