Mujhe Dubo Ke Bahut Sharmsar Rahti Hai.. Rahat Indori Shayari !
Mujhe dubo ke bahut sharmsar rahti hai,
Wo ek mauj jo dariya ke par rahti hai.
Hamare taq bhi be-zar hain ujalon se,
Diye ki lau bhi hawa par sawar rahti hai.
Phir us ke baad wahi basi manzaron ke julus,
Bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai.
Isi se qarz chukaye hain main ne sadiyon ke,
Ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai.
Hamari shehar ke danishwaron se yari hai,
Isi liye to qaba tar tar rahti hai.
Mujhe kharidne walo qatar mein aao,
Wo cheez hun jo pas-e-ishtihaar rahti hai. !!
मुझे डुबो के बहुत शर्मसार रहती है,
वो एक मौज जो दरिया के पार रहती है !
हमारे ताक़ भी बे-ज़ार हैं उजालों से,
दिए की लौ भी हवा पर सवार रहती है !
फिर उस के बाद वही बासी मंज़रों के जुलूस,
बहार चंद ही लम्हे बहार रहती है !
इसी से क़र्ज़ चुकाए हैं मैं ने सदियों के,
ये ज़िंदगी जो हमेशा उधार रहती है !
हमारी शहर के दानिशवरों से यारी है,
इसी लिए तो क़बा तार तार रहती है !
मुझे ख़रीदने वालो क़तार में आओ,
वो चीज़ हूँ जो पस-ए-इश्तिहार रहती है !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty