Mere Ashkon Ne Kai Aankhon Mein Jal-Thal Kar Diya.. Rahat Indori Shayari !
Mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya,
Ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya.
Apni palkon par saja kar mere aansoo aap ne,
Raste ki dhul ko aankhon ka kajal kar diya.
Main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida,
Us ne dhokha de ke ye qissa mukammal kar diya.
Ye hawayen kab nigahen pher len kis ko khabar,
Shohraton ka takht jab tuta to paidal kar diya.
Dewtaon aur khudaon ki lagai aag ne,
Dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya.
Zakhm ki surat nazar aate hain chehron ke nuqush,
Hum ne aainon ko tahzibon ka maqtal kar diya.
Shehar mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai,
Jis ne achchhe-khase ek shayar ko pagal kar diya. !!
मेरे अश्कों ने कई आँखों में जल-थल कर दिया,
एक पागल ने बहुत लोगों को पागल कर दिया !
अपनी पलकों पर सजा कर मेरे आँसू आप ने,
रास्ते की धूल को आँखों का काजल कर दिया !
मैं ने दिल दे कर उसे की थी वफ़ा की इब्तिदा,
उस ने धोखा दे के ये क़िस्सा मुकम्मल कर दिया !
ये हवाएँ कब निगाहें फेर लें किस को ख़बर,
शोहरतों का तख़्त जब टूटा तो पैदल कर दिया !
देवताओं और ख़ुदाओं की लगाई आग ने,
देखते ही देखते बस्ती को जंगल कर दिया !
ज़ख़्म की सूरत नज़र आते हैं चेहरों के नुक़ूश,
हम ने आईनों को तहज़ीबों का मक़्तल कर दिया !
शहर में चर्चा है आख़िर ऐसी लड़की कौन है,
जिस ने अच्छे-ख़ासे एक शायर को पागल कर दिया !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty