Kabhi Dimaagh Kabhi Dil Kabhi Nazar Mein Raho.. Rahat Indori Shayari
Kabhi dimaagh kabhi dil kabhi nazar mein raho,
Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho.
Jala na lo kahin humdardiyon mein apna wajud,
Gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho.
Tumhein pata ye chale ghar ki rahaten kya hain,
Hamari tarah agar chaar din safar mein raho.
Hai ab ye haal ki dar dar bhatakte phirte hain,
Ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho.
Kisi ko zakhm diye hain kisi ko phool diye,
Buri ho chahe bhali ho magar khabar mein raho. !!
कभी दिमाग़ कभी दिल कभी नज़र में रहो,
ये सब तुम्हारे ही घर हैं किसी भी घर में रहो !
जला न लो कहीं हमदर्दियों में अपना वजूद,
गली में आग लगी हो तो अपने घर में रहो !
तुम्हें पता ये चले घर की राहतें क्या हैं,
हमारी तरह अगर चार दिन सफ़र में रहो !
है अब ये हाल कि दर दर भटकते फिरते हैं,
ग़मों से मैं ने कहा था कि मेरे घर में रहो !
किसी को ज़ख़्म दिए हैं किसी को फूल दिए,
बुरी हो चाहे भली हो मगर ख़बर में रहो !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty