Hausle Zindagi Ke Dekhte Hain.. Rahat Indori Shayari !
Hausle zindagi ke dekhte hain,
Chaliye kuch roz ji ke dekhte hain.
Nind pichhli sadi ki zakhmi hai,
Khwaab agli sadi ke dekhte hain.
Rose hum ek andheri dhund ke par,
Qafile raushni ke dekhte hain.
Dhoop itni karahti kyun hai,
Chhanv ke zakhm si ke dekhte hain.
Tuktuki bandh li hai aankhon ne,
Raste wapsi ke dekhte hain.
Paniyon se to pyas bujhti nahi,
Aaiye zahar pi ke dekhte hain. !!
हौसले ज़िंदगी के देखते हैं,
चलिए कुछ रोज़ जी के देखते हैं !
नींद पिछली सदी की ज़ख़्मी है,
ख़्वाब अगली सदी के देखते हैं !
रोज़ हम एक अँधेरी धुँद के पार,
क़ाफ़िले रौशनी के देखते हैं !
धूप इतनी कराहती क्यूँ है,
छाँव के ज़ख़्म सी के देखते हैं !
टुकटुकी बाँध ली है आँखों ने,
रास्ते वापसी के देखते हैं !
पानियों से तो प्यास बुझती नहीं,
आइए ज़हर पी के देखते हैं !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty