Bulati hai magar jaane ka nahi.. Rahat Indori Shayari !
Bulati hai magar jaane ka nahi,
Wo duniya hai udhar jaane ka nahi.
Zameen rakhna pade sar par to rakho,
Chalo ho to thahar jaane ka nahi.
Hai duniya chhodna manzur lekin,
Watan ko chhod kar jaane ka nahi.
Janaze hi janaze hain sadak par,
Abhi mahaul mar jaane ka nahi.
Sitare noch kar le jaunga,
Main khali haath ghar jaane ka nahi.
Mere bete kisi se ishq kar,
Magar had se guzar jaane ka nahi.
Wo gardan napta hai nap le,
Magar zalim se dar jaane ka nahi.
Sadak par arthiyan hi arthiyan hain,
Abhi mahaul mar jaane ka nahi.
Waba phaili hui hai har taraf,
Abhi mahaul mar jaane ka nahi. !!
बुलाती है मगर जाने का नहीं,
वो दुनिया है उधर जाने का नहीं !
ज़मीं रखना पड़े सर पर तो रखो,
चलो हो तो ठहर जाने का नहीं !
है दुनिया छोड़ना मंज़ूर लेकिन,
वतन को छोड़ कर जाने का नहीं !
जनाज़े ही जनाज़े हैं सड़क पर,
अभी माहौल मर जाने का नहीं !
सितारे नोच कर ले जाऊँगा,
मैं ख़ाली हाथ घर जाने का नहीं !
मेरे बेटे किसी से इश्क़ कर,
मगर हद से गुज़र जाने का नहीं !
वो गर्दन नापता है नाप ले,
मगर ज़ालिम से डर जाने का नहीं !
सड़क पर अर्थियाँ ही अर्थियाँ हैं,
अभी माहौल मर जाने का नहीं !
वबा फैली हुई है हर तरफ़,
अभी माहौल मर जाने का नहीं !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty