Jo ho ek bar wo har bar ho aisa nahi hota, Hamesha ek hi se pyar ho aisa nahi hota. Har ek kashti ka apna tajraba hota hai dariya mein, Safar mein roz hi manjdhaar ho aisa nahi hota. Kahani mein to kirdaron ko jo chahe bana dije, Haqiqat bhi …
Read More »Nida Fazli
Aaj Zara Fursat Pai Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya
Aaj zara fursat pai thi aaj use phir yaad kiya, Band gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya, Khol ke khidki chand hansa phir chand ne donon hathon se, Rang udaye phool khilaye chidiyon ko aazad kiya. Bade bade gham khade hue the rasta roke rahon mein, …
Read More »Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi
Kuch bhi bacha na kehne ko har baat ho gayi, Aao kahin sharaab piyen raat ho gayi. Phir yun hua ki waqt ka pansa palat gaya, Ummid jeet ki thi magar mat ho gayi. Sooraj ko chonch mein liye murgha khada raha, Khidki ke parde khinch diye raat ho gayi. …
Read More »Dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye
Dariya ho ya pahad ho takrana chahiye, Jab tak na sans tute jiye jana chahiye. Yun to qadam qadam pe hai diwar samne, Koi na ho to khud se ulajh jana chahiye. Jhukti hui nazar ho ki simta hua badan, Har ras-bhari ghata ko baras jana chahiye. Chaurahe bagh buildingen …
Read More »Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga
Us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga, Wo bhi meri hi tarah shehar mein tanha hoga. Itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe, Raushni khatm na kar aage andhera hoga. Pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli, Jis ko pichhe kahin chhod aaye wo dariya hoga. …
Read More »Dhup Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho
Dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho. Sirf aankhon se hi duniya nahi dekhi jati, Dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho. Pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain, Apne ghar ke dar-o-diwar saja kar dekho. Wo …
Read More »Safar Mein Dhup To Hogi Jo Chal Sako To Chalo
Safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bhid mein tum bhi nikal sako to chalo. Kisi ke waste rahen kahan badalti hain, Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo. Yahan kisi ko koi rasta nahi deta, Mujhe gira ke agar tum sambhal …
Read More »Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain, Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain. Pahle har cheez thi apni magar ab lagta hai, Apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain. Waqt ke sath hai mitti ka safar sadiyon se, Kis ko malum …
Read More »Tanha Tanha Dukh Jhelenge Mahfil Mahfil gayenge
Tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gayenge, Jab tak aansoo pas rahenge tab tak geet sunayenge. Tum jo socho wo tum jaano hum to apni kahte hain, Der na karna ghar aane mein warna ghar kho jayenge. Bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do, Chaar kitaben padh kar …
Read More »Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaya Jaye
Apna gham leke kahin aur na jaya jaye, Ghar mein bikhri hui chizon ko sajaya jaye. Jin charaghon ko hawaon ka koi khauf nahi, Un charaghon ko hawaon se bachaya jaye. Khud-kushi karne ki himmat nahi hoti sab mein, Aur kuch din abhi auron ko sataya jaye. Bagh mein jaane …
Read More »