Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi,
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi.
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka,
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi.
Is raat der tak wo raha mahw-e-guftugu,
Masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi.
Mujh se bichhad ke shehar mein ghul-mil gaya wo shakhs,
Haalanki shehar-bhar se adawat use bhi thi.
Wo mujh se badh ke zabt ka aadi tha ji gaya,
Warna har ek sans qayamat use bhi thi.
Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan,
Shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi.
Tanha hua safar mein to mujh pe khula ye bhed,
Saye se pyar dhup se nafrat use bhi thi.
“Mohsin” main us se kah na saka yun bhi haal dil,
Darpesh ek taza musibat use bhi thi. !!
ज़िक्र-ए-शब-ए-फ़िराक़ से वहशत उसे भी थी,
मेरी तरह किसी से मोहब्बत उसे भी थी !
मुझ को भी शौक़ था नए चेहरों की दीद का,
रस्ता बदल के चलने की आदत उसे भी थी !
इस रात देर तक वो रहा महव-ए-गुफ़्तुगू,
मसरूफ़ मैं भी कम था फ़राग़त उसे भी थी !
मुझ से बिछड़ के शहर में घुल-मिल गया वो शख़्स,
हालाँकि शहर-भर से अदावत उसे भी थी !
वो मुझ से बढ़ के ज़ब्त का आदी था जी गया,
वर्ना हर एक साँस क़यामत उसे भी थी !
सुनता था वो भी सब से पुरानी कहानियाँ,
शायद रफ़ाक़तों की ज़रूरत उसे भी थी !
तन्हा हुआ सफ़र में तो मुझ पे खुला ये भेद,
साए से प्यार धूप से नफ़रत उसे भी थी !
“मोहसिन” मैं उस से कह न सका यूँ भी हाल दिल,
दरपेश एक ताज़ा मुसीबत उसे भी थी !!