Sisakti Rut Ko Mahakta Gulab Kar Dunga.. Rahat Indori Shayari !
Sisakti rut ko mahakta gulab kar dunga,
Main is bahaar mein sab ka hisaab kar dunga.
Hazaar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar,
Tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar dunga.
Mujhe yaqeen hai ki mehfil ki raushni hun main,
Unhein ye khauf ki mehfil kharaab kar dunga.
Mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna,
Main sare shehar ka pani sharaab kar dunga.
Main intezaar mein hun tu koi sawal to kar,
Yaqeen rakh main tujhe lajawaab kar dunga.
Mahajanon se kaho thoda intezaar karen,
Sharaab-khane se aa kar hisaab kar dunga. !!
सिसकती रुत को महकता गुलाब कर दूँगा,
मैं इस बहार में सब का हिसाब कर दूँगा !
हज़ार पर्दों में ख़ुद को छुपा के बैठ मगर,
तुझे कभी न कभी बे-नक़ाब कर दूँगा !
मुझे यक़ीन है कि महफ़िल की रौशनी हूँ मैं,
उन्हें ये ख़ौफ़ कि महफ़िल ख़राब कर दूँगा !
मुझे गिलास के अंदर ही क़ैद रख वर्ना,
मैं सारे शहर का पानी शराब कर दूँगा !
मैं इंतज़ार में हूँ तू कोई सवाल तो कर,
यक़ीन रख मैं तुझे ला-जवाब कर दूँगा !
महाजनों से कहो थोड़ा इंतज़ार करें,
शराब-ख़ाने से आ कर हिसाब कर दूँगा !!
-Rahat Indori Shayari /Ghazal /Poerty
Subscribe Us On Youtube Channel For Watch Latest Ghazal, Urdu Poetry, Hindi Shayari Video ! Click Here