Kya jaane kis ki pyas bujhane kidhar gayi,
Is sar pe jhum ke jo ghatayen guzar gayi.
Diwana puchhta hai ye lahron se bar-bar,
Kuchh bastiyan yahan thi batao kidhar gayi.
Ab jis taraf se chahe guzar jaye carvaan,
Viraniyan to sab mere dil mein utar gayi.
Paimana tutne ka koi gham nahi mujhe,
Gham hai to ye ki chandni raatein bikhar gayi.
Paya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe,
Ek mukhtasar si raat mein sadiyan guzar gayi. !!
क्या जाने किस की प्यास बुझाने किधर गईं,
इस सर पे झूम के जो घटाएँ गुज़र गईं !
दीवाना पूछता है ये लहरों से बार-बार,
कुछ बस्तियाँ यहाँ थीं बताओ किधर गईं !
अब जिस तरफ़ से चाहे गुज़र जाए कारवाँ,
वीरानियाँ तो सब मेरे दिल में उतर गईं !
पैमाना टूटने का कोई ग़म नहीं मुझे,
ग़म है तो ये कि चाँदनी रातें बिखर गईं !
पाया भी उन को खो भी दिया चुप भी हो रहे,
एक मुख़्तसर सी रात में सदियाँ गुज़र गईं !!