Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the,
Akarat jayega khun-e-shahidan hum na kahte the.
Ilaj-e-chaak-e-pairahan hua to is tarah hoga,
Siya jayega kanton se gareban hum na kahte the.
Tarane kuch diye lafzon mein khud ko qaid kar lenge,
Ajab andaz se phailega zindan hum na kahte the.
Koi itna na hoga lash bhi le ja ke dafna de,
Inhin sadkon pe mar jayega insan hum na kahte the.
Nazar lipti hai sholon mein lahu tapta hai aankhon mein,
Utha hi chahta hai koi tufan hum na kahte the.
Chhalakte jaam mein bhigi hui aankhen utar aayi,
Satayegi kisi din yaad-e-yaran hum na kahte the.
Nai tahzib kaise lucknow ko ras aayegi,
Ujad jayega ye shehar-e-ghazalan hum na kahte the. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals