Wo Hum Se Aaj Bhi Daman-Kashan Chale Hai Miyan.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Wo hum se aaj bhi daman-kashan chale hai miyan,
Kisi pe zor hamara kahan chale hai miyan.
Jahan bhi thak ke koi karwan thaharta hai,
Wahin se ek naya karwan chale hai miyan.
Jo ek samt guman hai to ek samt yaqin,
Ye zindagi to yunhi darmiyan chale hai miyan.
Badalte rahte hain bas naam aur to kya hai,
Hazaron sal se ek dastan chale hai miyan.
Har ek qadam hai nai aazmaishon ka hujum,
Tamam umar koi imtihan chale hai miyan.
Wahin pe ghumte rahna to koi baat nahi,
Zameen chale hai to aage kahan chale hai miyan.
Wo ek lamha-e-hairat ki lafz saath na den,
Nahi chale hai na aise mein han chale hai miyan. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals