Tamam Umar Azabon Ka Silsila To Raha.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Tamam umar azabon ka silsila to raha,
Ye kam nahi hamein jine ka hausla to raha.
Guzar hi aaye kisi tarah tere diwane,
Qadam qadam pe koi sakht marhala to raha.
Chalo na ishq hi jita na aql haar saki,
Tamam waqt maze ka muqabla to raha.
Main teri zat mein gum ho saka na tu mujh mein,
Bahut qarib the hum phir bhi fasla to raha.
Ye aur baat ki har chhed la-ubaali thi,
Teri nazar ka dilon se moamla to raha. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals