Mauj-E-Gul Mauj-E-Saba Mauj-E-Sahar Lagti Hai.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai,
Sar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti hai.
Hum ne har gam pe sajdon ke jalaye hain charagh,
Ab hamein teri gali rahguzar lagti hai.
Lamhe lamhe mein basi hai teri yaadon ki mahak,
Aaj ki raat to khushbu ka safar lagti hai.
Jal gaya apna nasheman to koi baat nahi,
Dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai.
Sari duniya mein gharibon ka lahu bahta hai,
Har zamin mujh ko mere khun se tar lagti hai.
Koi aasuda nahi ahl-e-siyasat ke siwa,
Ye sadi dushman-e-arbab-e-hunar lagti hai.
Waqia shehar mein kal to koi aisa na hua,
Ye to akhbar ke daftar ki khabar lagti hai.
Lucknow kya teri galiyon ka muqaddar tha yahi,
Har gali aaj teri khak-basar lagti hai. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals