Khud-Ba-Khud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Khud-ba-khud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai,
Kis bala ki tumhein jadu-nazari aawe hai.
Dil mein dar aawe hai har subh koi yaad aise,
Jun dabe-panw nasim-e-sahari aawe hai.
Aur bhi zakhm hue jate hain gahre dil ke,
Hum to samjhe the tumhein chaaragari aawe hai.
Ek qatra bhi lahu jab na rahe sine mein,
Tab kahin ishq mein kuch be-jigari aawe hai.
Chaak-e-daman-o-gireban ke bhi aadab hain kuch,
Har diwane ko kahan jama-dari aawe hai.
Shajar-e-ishq to mange hai lahu ke aansoo,
Tab kahin ja ke koi shakh hari aawe hai.
Tu kabhi rag kabhi rang kabhi khushbu hai,
Kaisi kaisi na tujhe ishwa-gari aawe hai.
Aap-apne ko bhulana koi aasan nahi,
Badi mushkil se miyan be-khabari aawe hai.
Aye mere shehar-e-nigaran tera kya haal hua,
Chappe chappe pe mere aankh bhari aawe hai.
Sahibo husn ki pahchan koi khel nahi,
Dil lahu ho to kahin dida-wari aawe hai. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals