Har Ek Shakhs Pareshan-O-Darba-Dar Sa Lage.. Jan Nisar Akhtar Poetry !
Har ek shakhs pareshan-o-darba-dar sa lage,
Ye shehar mujh ko to yaro koi bhanwar sa lage.
Ab us ke tarz-e-tajahul ko kya kahe koi,
Wo be-khabar to nahi phir bhi be-khabar sa lage.
Har ek gham ko khushi ki tarah baratna hai,
Ye daur wo hai ki jina bhi ek hunar sa lage.
Nashat-e-sohbat-e-rindan bahut ghanimat hai,
Ki lamha lamha pur-ashob-o-pur-khatar sa lage.
Kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hoga,
Kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage.
Wo tund waqt ki rau hai ki panw tik na saken,
Har aadmi koi ukhda hua shajar sa lage.
Jahan-e-nau ke mukammal singar ki khatir,
Sadi sadi ka zamana bhi mukhtasar sa lage. !!
-Jan Nisar Akhtar Poetry / Ghazals