Ashaar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain.. Ghazal By Jan Nisar Akhtar
Ashaar mere yun to zamane ke liye hain,
Kuch sher faqat un ko sunane ke liye hain.
Ab ye bhi nahi theek ki har dard mita den,
Kuch dard kaleje se lagane ke liye hain.
Socho to badi cheez hai tahzib badan ki,
Warna ye faqat aag bujhane ke liye hain.
Aankhon mein jo bhar loge to kanton se chubhenge,
Ye khwaab to palkon pe sajaane ke liye hain.
Dekhun tere hathon ko to lagta hai tere hath,
Mandir mein faqat deep jalane ke liye hain.
Ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben,
Ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain. !!
Ashaar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain.. In Hindi Language
अशआर मेरे यूँ तो ज़माने के लिए हैं,
कुछ शेर फ़क़त उन को सुनाने के लिए हैं !
अब ये भी नहीं ठीक कि हर दर्द मिटा दें,
कुछ दर्द कलेजे से लगाने के लिए हैं !
सोचो तो बड़ी चीज़ है तहज़ीब बदन की,
वर्ना ये फ़क़त आग बुझाने के लिए हैं !
आँखों में जो भर लोगे तो काँटों से चुभेंगे,
ये ख़्वाब तो पलकों पे सजाने के लिए हैं !
देखूँ तेरे हाथों को तो लगता है तेरे हाथ,
मंदिर में फ़क़त दीप जलाने के लिए हैं !
ये इल्म का सौदा ये रिसाले ये किताबें,
एक शख़्स की यादों को भुलाने के लिए हैं !!
-Jan Nisar Akhtar Ghazal / Urdu Poetry