Waqt Ki Aankh Pe Patti Bandh Ke Khel Rahe The Aankh Micholi.. { Waqt 2 – Gulzar Nazm } !
Waqt ki aankh pe patti bandh ke khel rahe the aankh micholi
Raat aur din aur chaand aur main
Jaane kaise kainat mein atka panv
Dur gira ja kar main jaise
Raushni se dhakka kha ke parchhain zameen par girti hai. !
Dhayya chhune se pahle hi
Waqt ne chor kaha aur aankhen khol ke mujh ko pakad liya. !! -Gulzar Nazm
वक़्त की आँख पे पट्टी बाँध के खेल रहे थे आँख मिचोली
रात और दिन और चाँद और मैं
जाने कैसे काएनात में अटका पाँव
दूर गिरा जा कर मैं जैसे
रौशनी से धक्का खा के परछाईं ज़मीं पर गिरती है !
धय्या छूने से पहले ही
वक़्त ने चोर कहा और आँखें खोल के मुझ को पकड़ लिया !! -गुलज़ार नज़्म