Subah Subah Ek Khwab Ki Dastak Par Darwaza Khula Dekha.. { Dastak – Gulzar’s Nazm }
Subah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula dekha
Sarhad ke us par se kuch mehman aaye hain
Aankhon se manus the sare
Chehre sare sune sunaye
Panv dhoye haath dhulaye
Aangan mein aasan lagwaye
Aur tandur pe makki ke kuch mote mote rot pakaye
Potli mein mehman mere
Pichhle salon ki faslon ka gud laye the
Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahi tha
Haath laga kar dekha to tandur abhi tak bujha nahi tha
Aur honton par mithe gud ka zaiqa ab tak chipak raha tha
Khwab tha shayad !
Khwab hi hoga !!
Sarhad par kal raat suna hai chali thi goli
Sarhad par kal raat suna hai
Kuch khwabon ka khun hua hai.
Subah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula dekha. !! -Gulzar’s Nazm
सुबह सुबह एक ख़्वाब की दस्तक पर दरवाज़ा खुला देखा
सरहद के उस पार से कुछ मेहमान आए हैं
आँखों से मानूस थे सारे
चेहरे सारे सुने सुनाए
पाँव धोए हाथ धुलाए
आँगन में आसन लगवाए
और तंदूर पे मक्की के कुछ मोटे मोटे रोट पकाए
पोटली में मेहमान मेरे
पिछले सालों की फ़सलों का गुड़ लाए थे
आँख खुली तो देखा घर में कोई नहीं था
हाथ लगा कर देखा तो तंदूर अभी तक बुझा नहीं था
और होंटों पर मीठे गुड़ का ज़ाइक़ा अब तक चिपक रहा था
ख़्वाब था शायद!
ख़्वाब ही होगा!!
सरहद पर कल रात सुना है चली थी गोली
सरहद पर कल रात सुना है
कुछ ख़्वाबों का ख़ून हुआ है
सुबह सुबह एक ख़्वाब की दस्तक पर दरवाज़ा खुला देखा.. !! -गुलज़ार नज़्म
Subscribe Us On Youtube Channel For Watch Latest Ghazal, Urdu Poetry, Hindi Shayari Video ! Click Here