Main Rozgaar Ke Silsile Mein.. Gulzar’s Nazm !
Main rozgaar ke silsile mein
Kabhi kabhi uske shehar jata hun
To guzarta hun us gali se..
Wo neem taariq si gali
Aur usike nukkad pe unghata sa purana khambha
Usi ke niche tamam shab intezaar karke
Main chhod aaya tha shehar uska..
Bahot hi khasta si roshni ki chhadi ko teke
Wo khambha ab bhi wahi khada hai..
Phitur hai ye magar
Main khambhe ke paas jakar
Nazar bachake mohalle walon ki
Puch leta hun aaj bhi ye..
Wo mere jaane ke bad bhi aayi to nahi thi
Wo aayi thi kya.. ??
मैं रोजगार के सिलसिले में
कभी कभी उसके शहर जाता हूँ
तो गुज़रता हूँ उस गली से..
वो नीम तारीक सी गली
और उसी के नुक्कड़ पे ऊंघता सा पुराना खम्भा
उसी के नीचे तमाम सब इंतज़ार कर के
मैं छोड़ आया था शहर उसका..
बहुत ही खस्ता सी रौशनी की छड़ी को टेके
वो खम्बा अब भी वही खड़ा है..
फितूर है ये मगर
मैं खम्बे के पास जा कर
नज़र बचा के मोहल्ले वालों की
पूछ लेता हूँ आज भी ये..
वो मेरे जाने के बाद भी आई तो नहीं थी
वो आई थी क्या.. ??
– Gulzar Poetry / Ghazal / Shayari / Nazm
Subscribe Us On Youtube Channel For Watch Latest Ghazal, Urdu Poetry, Hindi Shayari Video ! Click Here