Na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai,
Meri rah phir bhi hai mukhtalif tera rasta koi aur hai.
Pas-e-marg khak huye badan wo kafan mein hon ki hon be-kafan,
Na meri lahad koi aur hai na teri chita koi aur hai.
Wo jo mahr bahr-e-nikah tha wo dulhan ka mujh se mizah tha,
Ye to ghar pahunch ke pata chala meri ahliya koi aur hai.
Meri qatila meri lash se ye bayan lene ko aayi thi,
Na de mulzima ko saza police meri qatila koi aur hai.
Jo sajai jati hai raat ko wo hamari bazm-e-khayal hai,
Jo sadak pe hota hai raat din wo mushaera koi aur hai.
Kabhi “mir”-o-“dagh” ki shayari bhi moamla se hasin thi,
Magar ab jo sher mein hota hai wo moamla koi aur hai.
Tujhe kya khabar ki main kis liye tujhe dekhta hun kan-ankhiyon se,
Ki barah-e-rast nazare mein mujhe dekhta koi aur hai.
Ye jo titar aur chakor hain wahi pakden un ko jo chor hain,
Main chakor-akor ka kya karun meri fakhta koi aur hai.
Mujhe man ka pyar nahi mila magar is ka bap se kya gila,
Meri walida to ye kahti hai teri walida koi aur hai. !!
न मेरा मकाँ ही बदल गया न तेरा पता कोई और है,
मेरी राह फिर भी है मुख़्तलिफ़ तेरा रास्ता कोई और है !
पस-ए-मर्ग ख़ाक हुए बदन वो कफ़न में हों कि हों बे-कफ़न,
न मेरी लहद कोई और है न तेरी चिता कोई और है !
वो जो महर बहर-ए-निकाह था वो दुल्हन का मुझ से मिज़ाह था,
ये तो घर पहुँच के पता चला मिरी अहलिया कोई और है !
मेरी क़ातिला मेरी लाश से ये बयान लेने को आई थी,
न दे मुलज़िमा को सज़ा पुलिस मेरी क़ातिला कोई और है !
जो सजाई जाती है रात को वो हमारी बज़्म-ए-ख़याल है,
जो सड़क पे होता है रात दिन वो मुशाएरा कोई और है !
कभी “मीर”-ओ-“दाग़” की शायरी भी मोआ’मला से हसीन थी,
मगर अब जो शेर में होता है वो मोआ’मला कोई और है !
तुझे क्या ख़बर कि मैं किस लिए तुझे देखता हूँ कन-अँखियों से,
कि बराह-ए-रास्त नज़ारे में मुझे देखता कोई और है !
ये जो तीतर और चकोर हैं वही पकड़ें उन को जो चोर हैं,
मैं चकोर-अकोर का क्या करूँ मिरी फ़ाख़्ता कोई और है !
मुझे माँ का प्यार नहीं मिला मगर इस का बाप से क्या गिला,
मेरी वालिदा तो ये कहती है तेरी वालिदा कोई और है !!
-Dilawar Figar Ghazal / Shayari