Ye dil kabhi na mohabbat mein kamyaab hua,
Mujhe kharaab kiya aap bhi kharaab hua.
Ajal mein, zist mein, turabat mein, hashr mein zalim,
Tere sitam ke liye main hi intekhaab hua.
Nigaah-e-mast ko saqi ki kaun de ilzaam,
Mera nasib ki ruswa mera shabaab hua.
Humare ishq ki dus-bees ne bhi daad na di,
Kisi ka husn zamane mein intekhaab hua.
Fana ka dawa hazaaron ko tha zamaane mein,
Habaab ne mujhe dekha to aab aab hua. !!
ये दिल कभी न मोहब्बत में कामयाब हुआ,
मुझे खराब किया आप भी खराब हुआ !
अजल में, ज़ीस्त में, तुरबत में, हश्र में ज़ालिम,
तेरे सितम के लिए मैं ही इंतेखाब हुआ !
निगाह-इ-मस्त को साक़ी की कौन दे इलज़ाम,
मेरा नसीब की रुस्वा मेरा शबाब हुआ !
हमारे इश्क़ की दस-बीस ने भी दाद न दी,
किसी का हुस्न ज़माने में इंतेखाब हुआ !
फ़ना का दावा हज़ारों को था ज़माने में,
हबाब ने मुझे देखा तो आब आब हुआ !! -Bekhud Dehlvi Ghazal