Yun hi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo,
Wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke padha karo.
Koi hath bhi na milayega jo gale miloge tapak se,
Ye naye mizaj ka shehar hai zara fasle se mila karo.
Abhi raah mein kayi mod hain koi ayega koi jayega,
Tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo.
Mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo.
Kabhi husn-e parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein,
Jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo.
Nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho,
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo.
Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hai
Ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo. !!
यूं ही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो,
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके-चुपके पढ़ा करो !
कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से,
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो !
अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा,
तुम्हें जिसने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो !
मुझे इश्तिहार-सी लगती हैं ये मोहब्बतों की कहानियां,
जो कहा नहीं, वो सुना करो जो सुना नहीं वो कहा करो !
नहीं बे हिजाब वो चाँद सा कि नज़र का कोई असर न हो,
उसे इतनी गर्मी-ए-शौक़ से बड़ी देर तक न तका करो !
ये ख़िज़ां की ज़र्द-सी शाल में जो उदास पेड़ के पास है
ये तुम्हारे घर की बहार है उसे आंसुओं से हरा करो !! -Bashir Badr Ghazal