Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila,
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila.
Gharon pe naam the naamon ke saath ohde the,
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila.
Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha,
Phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila.
Khuda ki itni badi kayenat mein maine,
Bas ek shakhs ko manga mujhe wohi na mila.
Bahut ajib hai ye qurbaton ki duri bhi,
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila. !!
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला,
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला !
घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे,
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला !
तमाम रिश्तों को मैं घर में छोड़ आया था,
फिर इसके बाद मुझे कोई अजनबी न मिला !
ख़ुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने,
बस एक शख़्स को मांगा मुझे वही न मिला !
बहुत अजीब है ये कुरबतों की दूरी भी,
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी न मिला !! -Bashir Badr Ghazal