Khushi ka masla kya hai jo mujhse khauf khati hai,
Ise jab bhi bulata hun ghamon ko saath lati hai.
Chiragon kab hawa ki dogli fitrat ko samjhoge,
Jalaati hai yahi tumko yahi tumko bujhaati hai.
Mirashim ke shzar ko badazani ka ghun laga jabse,
Koi patta bhi jab khichein to dali toot jati hai.
ख़ुशी का मसला क्या है जो मुझसे खौफ खाती है,
इसे जब भी बुलाता हूँ ग़मों को साथ लती है !
चिरागों कब हवा की दोगली फितरत को समझोगे,
जलाती है यही तुमको यही तुमको बुझाती है !
मिराशिम के शज़र को बदज़नी का घुन लगा जबसे,
कोई पत्ता भी जब खीचें तो डाली टूट जाती है !!
-Anwar Jalalabadi Ghazal / Poetry / Shayari