Ek parinda abhi udaan me hai,
Tir har shakhs ki kaman mein hai.
Jis ko dekho wahi hai chup chup sa,
Jaise har shakhs imtihan mein hai.
Kho chuke hum yakin jaisi shai,
Tu abhi tak kisi guman mein hai.
Zindagi sang-dil sahi lekin,
Aaina bhi isi chatan mein hai.
Sar-bulandi nasib ho kaise,
Sar-nigun hai ki sayeban mein hai.
Khauf hi khauf jagte sote,
Koi aaseb is makan mein hai.
Aasra dil ko ek umid ka hai,
Ye hawa kab se baadban mein hai.
Khud ko paya na umar bhar hum ne,
Kaun hai jo hamare dhyan mein hai. !!
एक परिंदा अभी उड़ान में है,
तीर हर शख़्स की कमान में है !
जिस को देखो वही है चुप चुप सा,
जैसे हर शख़्स इम्तिहान में है !
खो चुके हम यक़ीन जैसी शय,
तू अभी तक किसी गुमान में है !
ज़िंदगी संग-दिल सही लेकिन,
आईना भी इसी चटान में है !
सर-बुलंदी नसीब हो कैसे,
सर-निगूँ है कि साएबान में है !
ख़ौफ़ ही ख़ौफ़ जागते सोते,
कोई आसेब इस मकान में है !
आसरा दिल को एक उमीद का है,
ये हवा कब से बादबान में है !
ख़ुद को पाया न उम्र भर हम ने,
कौन है जो हमारे ध्यान में है !!
Amir Qazalbash All Poetry, Ghazal, Sad Shayari & Nazms Collection