Khayal usi ki taraf bar bar jata hai,
Mere safar ki thakan kaun utar jata hai.
Ye us ka apna tariqa hai dan karne ka,
Wo jis se shart lagata hai haar jata hai.
Ye khel meri samajh mein kabhi nahi aaya,
Main jeet jata hun bazi wo mar jata hai.
Main apni nind dawaon se qarz leta hun,
Ye qarz khwab mein koi utar jata hai.
Nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shamil,
Wo jab bhi milta hai ek dank mar jata hai.
Main sab ke waste karta hun kuch na kuch “Nazmi”,
Jahan jahan bhi mera ikhtiyar jata hai. !!
ख़याल उसी की तरफ़ बार बार जाता है,
मेरे सफ़र की थकन कौन उतार जाता है !
ये उस का अपना तरीक़ा है दान करने का,
वो जिस से शर्त लगाता है हार जाता है !
ये खेल मेरी समझ में कभी नहीं आया,
मैं जीत जाता हूँ बाज़ी वो मार जाता है !
मैं अपनी नींद दवाओं से क़र्ज़ लेता हूँ,
ये क़र्ज़ ख़्वाब में कोई उतार जाता है !
नशा भी होता है हल्का सा ज़हर में शामिल,
वो जब भी मिलता है एक डंक मार जाता है !
मैं सब के वास्ते करता हूँ कुछ न कुछ “नज़मी”,
जहाँ जहाँ भी मेरा इख़्तियार जाता है !!
-Akhtar Nazmi Ghazal / Sad Poetry