Ye aane wala zamana hamein batayega, Wo ghar banayega apna ki ghar basayega. Main sare shehar mein badnaam hun khabar hai mujhe, Wo mere naam se kya fayeda uthayega. Phir us ke baad ujale kharidne honge, Zara si der mein sooraj to dub jayega. Hai sair-gah ye kachchi munder sanpon …
Read More »Akhtar Nazmi
Tark-E-Wafa Ki Baat Kahen Kya..
Tark-e-wafa ki baat kahen kya, Dil mein ho to lab tak aaye. Dil bechaara sidha sada, Khud ruthe khud man bhi jaye. Chalte rahiye manzil manzil, Is aanchal ke saye saye. Dur nahi tha shehar-e-tamanna, Aap hi mere sath na aaye. Aaj ka din bhi yaad rahega, Aaj wo mujh …
Read More »Kab Logon Ne Alfaz Ke Patthar Nahi Phenke
Kab logon ne alfaz ke patthar nahi phenke, Wo khat bhi magar main ne jala kar nahi phenke. Thahre hue pani ne ishaara to kiya tha, Kuch soch ke khud main ne hi patthar nahi phenke. Ek tanz hai kaliyon ka tabassum bhi magar kyun, Main ne to kabhi phool …
Read More »Jo Bhi Mil Jata Hai Ghar Bar Ko De Deta Hun
Jo bhi mil jata hai ghar bar ko de deta hun, Ya kisi aur talabgar ko de deta hun. Dhoop ko deta hun tan apna jhulasne ke liye, Aur saya kisi diwar ko de deta hun. Jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe, Wo dua bhi kisi gham khwar …
Read More »Ab Nahi Laut Ke Aane Wala
Ab nahi laut ke aane wala, Ghar khula chhod ke jaane wala. Ho gayi kuch idhar aisi baatein, Ruk gaya roz ka aane wala. Aks aaankhon se chura leta hai, Ek taswir banane wala. Lakh honton pe hansi ho lekin, Khush nahi khush nazar aane wala. Zad mein tufan ki …
Read More »Likha Hai Mujh Ko Bhi Likhna Pada Hai
Likha hai mujh ko bhi likhna pada hai, Jahan se hashiya chhoda gaya hai. Agar manus hai tum se parinda, To phir udne ko par kyun tolta hai. Kahin kuch hai kahin kuch hai kahin kuch, Mera saman sab bikhra hua hai. Main ja baithun kisi bargad ke niche, Sukun …
Read More »Khayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai
Khayal usi ki taraf bar bar jata hai, Mere safar ki thakan kaun utar jata hai. Ye us ka apna tariqa hai dan karne ka, Wo jis se shart lagata hai haar jata hai. Ye khel meri samajh mein kabhi nahi aaya, Main jeet jata hun bazi wo mar jata …
Read More »Silsila Zakhm Zakhm Jari Hai..
Silsila zakhm zakhm jari hai, Ye zameen door tak hamari hai. Is zameen se ajab taalluq hai, Zarre-zarre se rishtedari hai. Main bahut km kisi se milata hoon, Jisse yaari hai usse yaari hai. Hum jise jee rahe hai wo lamha, Har gujishta sadi pe bhari hai. Main toh ab …
Read More »