Sadiyon Philosophy Ki Chunan Aur Chunin Rahi.. Akbar Allahabadi Poetry
Sadiyon philosophy ki chunan aur chunin rahi,
Lekin khuda ki baat jahan thi wahin rahi.
Zor-azmaiyan huin science ki bhi khub,
Taqat badhi kisi ki kisi mein nahi rahi.
Duniya kabhi na sulh pe mail hui magar,
Baham hamesha barsar-e-paikar-o-kin rahi.
Paya agar farogh to sirf un nufus ne,
Jin ki ki khizr-e-rah faqat sham-e-din rahi.
Allah hi ki yaad bahar-haal khalq mein,
Wajh-e-sukun-e-khatir-e-andoh-gin rahi. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals