Raushan Dil-E-Arif Se Fuzun Hai Badan Un Ka

Raushan Dil-E-Arif Se Fuzun Hai Badan Un Ka – Akbar Allahabadi Poetry

Raushan dil-e-arif se fuzun hai badan un ka,
Rangin hai tabiat ki tarah pairahan un ka.

Mahrum hi rah jati hai aaghosh-e-tamanna,
Sharm aa ke chura leti hai sara badan un ka.

Jin logon ne dil mein tere ghar apna kiya hai,
Bahar hai do-alam se meri jaan watan un ka.

Har baat mein wo chaal kiya karte hain mujh se,
Ulfat na nibhegi jo yahi hai chalan un ka.

Aariz se gharaz hum ko anadil ko hai gul se,
Hai kucha-e-mashuq hamara chaman un ka.

Hai saf nigahon se ayan josh-e-jawani,
Aankhon se sambhalta nahi mastana-pan un ka.

Ye sharm ke mani hain haya kahte hain is ko,
Aaghosh-e-tasawwur mein na aaya badan un ka.

Ghairon hi pe chalta hai jo ab naz ka khanjar,
Kyun beach mein laya tha mujhe bankpan un ka.

Ghairon ne kabhi pak nazar se nahi dekha,
Wo us ko na samjhen to ye hai husan-e-zan un ka.

Is zulf-o-rukh-o-lab pe unhen kyun na ho nakhwat,
Tatar hai un ka halab un ka yaman un ka.

Allah re fareb-e-nazar-e-chashm-e-fusun-saz,
Banda hai har ek shaikh har ek barahman un ka.

Aaya jo nazar husn-e-khuda-dad ka jalwa,
But ban gaya munh dekh ke har barahman un ka.

Marqad mein utara hamein tewri ko chadha kar,
Hum mar bhi gaye par na chhuta bankpan un ka.

Guzri hui baaten na mujhe yaad dilao,
Ab zikr hi jaane do tum aye jaan-e-man un ka.

Dilchasp hi aafat hai qayamat hai ghazab hai,
Baat un ki ada un ki qad un ka chalan un ka. !!

-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals

 

About skpoetry

>> Sk Poetry - All The Best Poetry Website In Hindi, Urdu & English. Here You Can Find All Type Best, Famous, Memorable, Popular & Evergreen Collections Of Poems/Poetry, Shayari, Ghazals, Nazms, Sms, Whatsapp-Status & Quotes By The Top Poets From India, Pakistan, Iran, UAE & Arab Countries ETC. <<

Read These Poems Too..

Yeh Kaisa Ishq Hai Urdu Zaban Ka..

Yeh Kaisa Ishq Hai Urdu Zaban Ka.. { Urdu Zaban – Gulzar’s Nazm } Yeh …

Tinka Tinka Kante Tode Sari Raat Katai Ki..

Tinka Tinka Kante Tode Sari Raat Katai Ki.. Gulzar Poetry ! Tinka tinka kante tode …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

seven + 9 =