Nai Tahzib Se Saqi Ne Aisi Garm-Joshi Ki – Akbar Allahabadi Poetry
Nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki,
Ki aakhir muslimon mein ruh phunki baada-noshi ki.
Tumhari policy ka haal kuch khulta nahi sahab,
Hamari policy to saf hai iman-faroshi ki.
Chhupane ke ewaz chhapwa rahe hain khud wo aib apne,
Nasihat kya karun main qaum ko ab aib-poshi ki.
Pahanne ko to kapde hi na the kya bazm mein jate,
Khushi ghar baithe kar li hum ne jashn-e-taj-poshi ki.
Shikast-e-rang-e-mazhab ka asar dekhen nae murshid,
Musalmanon mein kasrat ho rahi hai baada-noshi ki.
Reaya ko munasib hai ki baham dosti rakkhen,
Himaqat hakimon se hai tawaqqoa garm-joshi ki.
Hamare qafiye to ho gaye sab khatm aye “Akbar“,
Laqab apna jo de den mehrbani hai ye joshi ki. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals