Mil Gaya Shara Se Sharab Ka Rang.. Akbar Allahabadi Poetry
Mil gaya shara se sharab ka rang,
Khub badla gharaz janab ka rang.
Chal diye shaikh subh se pahle,
Ud chala tha zara khizab ka rang.
Pai hai tum ne chaand si surat,
Aasmani rahe naqab ka rang.
Subh ko aap hain gulaab ka phool,
Dopahar ko hai aaftab ka rang.
Lakh jaanen nisar hain is par,
Didani hai tere shabab ka rang.
Tiktiki bandh gayi hai budhon ki,
Didani hai tere shabab ka rang.
Josh aata hai hosh jata hai,
Didani hai tere shabab ka rang.
Rind-e-ali-maqam hai “Akbar“,
Bu hai taqwa ki aur sharab ka rang. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals