Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar.. Akbar Allahabadi Poetry
Mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar,
Kis tarah un se hamara haal dekha jayega.
Daftar-e-duniya ulat jayega baatil yak-qalam,
Zarra zarra sab ka asli haal dekha jayega.
Official aamal-nama ki na hogi kuch sanad,
Hashr mein to nama-e-amal dekha jayega.
Bach rahe taun se to ahl-e-ghaflat bol uthe,
Ab to mohlat hai phir agle sal dekha jayega.
Tah karo sahab nasb-nami wo waqt aaya hai ab,
Be-asar hogi sharafat mal dekha jayega.
Rakh qadam sabit na chhod “Akbar” siraat-e-mustaqim,
Khair chal jaane de un ki chaal dekha jayega. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals