Jahan mein haal mera is qadar zabun hua,
Ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua.
Gharib dil ne bahut aarzuen paida kin,
Magar nasib ka likkha ki sab ka khun hua.
Wo apne husn se waqif main apni aql se sair,
Unhon ne hosh sambhaala mujhe junun hua.
Ummid-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baqi,
Zariya baaton ka jab sirf telephone hua.
Nigah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par,
Hamare haq mein december bhi mah-e-june hua. !!
जहाँ में हाल मेरा इस क़दर ज़बून हुआ,
कि मुझ को देख के बिस्मिल को भी सुकून हुआ !
ग़रीब दिल ने बहुत आरज़ूएँ पैदा कीं,
मगर नसीब का लिक्खा कि सब का ख़ून हुआ !
वो अपने हुस्न से वाक़िफ़ मैं अपनी अक़्ल से सैर,
उन्हों ने होश सँभाला मुझे जुनून हुआ !
उम्मीद-ए-चश्म-ए-मुरव्वत कहाँ रही बाक़ी,
ज़रीया बातों का जब सिर्फ़ टेलीफ़ोन हुआ !
निगाह-ए-गर्म क्रिसमस में भी रही हम पर,
हमारे हक़ में दिसम्बर भी माह-ए-जून हुआ !!
-Akbar Allahabadi Ghazal / Urdu Poetry