Haseeno Ke Gale Se Lagti Hai Zanjeer Sone Ki.. Akbar Allahabadi Poetry
Haseeno ke gale se lagti hai zanjeer sone ki,
Nazar aati hai kya chamki hui taqdir sone ki.
Na dil aata hai qabu mein na nind aati hai aankhon mein,
Shab-e-furqat mein kyun kar ban pade tadbir sone ki.
Yahan bedariyon se khun-e-dil aankhon mein aata hai,
Gulaabi karti hai aankhon ko wan tasir sone ki.
Bahut bechain hun nind aa rahi hai raat jati hai,
Khuda ke waste jald ab karo tadbir sone ki.
Ye zarda cheez hai jo har jagah hai bais-e-shaukat,
Suni hai aalam-e-baala mein bhi tamir sone ki.
Zarurat kya hai rukne ki mere dil se nikalta rah,
Hawas mujh ko nahi aye nala-e-shab-gir sone ki.
Chhapar-khat yan jo sone ki banai is se kya hasil,
Karo aye ghafilo kuch qabr mein tadbir sone ki. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals