Haram Kya Dair Kya Donon Ye Viran Hote Jate Hain.. Akbar Allahabadi Poetry
Haram kya dair kya donon ye viran hote jate hain,
Tumhare motaqid gabru musalman hote jate hain.
Alag sab se nazar nichi khiram aahista aahista,
Wo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jate hain.
Siwa tifli se bhi hain bholi baaten ab jawani mein,
Qayamat hai ki din par din wo nadan hote jate hain.
Kahan se launga khun-e-jigar un ke khilane ko,
Hazaron tarah ke gham dil ke mehman hote jate hain.
Kharabi khana-ha-e-aish ki hai daur-e-gardun mein,
Jo baqi rah gaye hain wo bhi viran hote jate hain.
Bayan main kya karun dil khol kar shauq-e-shahadat ko,
Abhi se aap to shamshir-e-uryan hote jate hain.
Ghazab ki yaad mein ayyariyan wallah tum ko bhi,
Gharaz qael tumhare hum to aye jaan hote jate hain.
Udhar hum se bhi baaten aap karte hain lagawat ki,
Udhar ghairon se bhi kuch ahd-o-paiman hote jate hain. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals