Har Ek Ye Kahta Hai Ab Kar-E-Din To Kuch Bhi Nahi.. Akbar Allahabadi Poetry
Har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuch bhi nahi,
Ye sach bhi hai ki maza be-yaqin to kuch bhi nahi.
Tamam umar yahan khak uda ke dekh liya,
Ab aasaman ko dekhun zameen to kuch bhi nahi.
Meri nazar mein to bas hai unhin se raunaq-e-bazm,
Wahi nahi hain jo aye ham-nashin to kuch bhi nahi.
Haram mein mujh ko nazar aaye sirf zahid-e-khushk,
Makan khub hai lekin makin to kuch bhi nahi.
Tere labon se hai albatta ek halawat-e-zist,
Nabaat-e-qand-e-shakar angbin to kuch bhi nahi.
Dimagh ab to mison ka hai charkh-e-chaarum par,
Badha diya meri khwahish ne thin to kuch bhi nahi.
Ba-qaul-e-hazrat-e-mahshar kalam sher ka,
Pasand aaye to sab kuch nahi to kuch bhi nahi.
Wo kahte hain ki tumhin ho jo kuch ho aye “Akbar“,
Hum apne dil mein hain kahte hamin to kuch bhi nahi. !!
-Akbar Allahabadi Poetry / Ghazals