Hans hans ke jaam jaam ko chhalka ke pi gaya, Wo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya. Tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha, Tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya. Saghar-ba-dast baithi rahi meri aarzoo, Saqi shafaq se jaam ko takra …
Read More »Abdul Hamid Adam
Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya..
Bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya, Jo bach rahe the unhen mai pila ke mar diya. Ye kya ada hai ki jab un ki barhami se hum, Na mar sake to humein muskura ke mar diya. Na jate aap to aaghosh kyun tahi hoti, Gaye to …
Read More »Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai..
Aaj phir ruh mein ek barq si lahraati hai, Dil ki gahrai se rone ki sada aati hai. Yun chatakti hain kharabaat mein jaise kaliyan, Tishnagi saghar-e-labrez se takraati hai. Shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj, Mujh ko fitrat ke rawayye pe hansi aati hai. Maut ek amr-e-musallam …
Read More »Taklif Mit Gayi Magar Ehsas Rah Gaya..
Taklif mit gayi magar ehsas rah gaya, Khush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya. Pal-bhar mein us ki shakl na aayi agar nazar, Yak-dam ulajh ke rishta-e-anfas rah gaya. Photo mein dil ki chot na tabdil ho saki, Naqlen utar utar ke akkas rah gaya. Wo …
Read More »Wo Baaten Teri Wo Fasane Tere..
Wo baaten teri wo fasane tere, Shagufta shagufta bahane tere. Bas ek dagh-e-sajda meri kayenat, Babinen teri aastane tere. Mazalim tere aafiyat-afrin, Marasim suhane suhane tere. Faqiron ki jholi na hogi tahi, Hain bharpur jab tak khazane tere. Dilon ko jarahat ka lutf aa gaya, Lage hain kuchh aise nishane …
Read More »Muskura Kar Khitab Karte Ho..
Muskura kar khitab karte ho, Aadaten kyun kharab karte ho. Mar do mujh ko rahm-dil ho kar, Kya ye kar-e-sawab karte ho. Muflisi aur kis ko kahte hain, Daulaton ka hisab karte ho. Sirf ek iltija hai chhoti si, Kya use baryab karte ho. Hum to tum ko pasand kar …
Read More »Wo Jo Tere Faqir Hote Hain..
Wo jo tere faqir hote hain, Aadmi be-nazir hote hain. Dekhne wala ek nahi milta, Aankh wale kasir hote hain. Jin ko daulat haqir lagti hai, Uff ! wo kitne amir hote hain. Jin ko kudrat ne husan bakhsha ho, Kudratan kuchh sharir hote hain. Zindagi ke hasin tarkash mein, …
Read More »Mai-Kada Tha Chandni Thi Main Na Tha..
Mai-kada tha chandni thi main na tha, Ek mujassam be-khudi thi main na tha. Ishq jab dam todta tha tum na the, Maut jab sar dhun rahi thi main na tha. Tur par chheda tha jis ne aap ko, Wo meri diwangi thi main na tha. Wo hasin baitha tha …
Read More »Mai-Khana-E-Hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gaye..
Mai-khana-e-hasti mein aksar hum apna thikana bhul gaye, Ya hosh mein jaana bhul gaye ya hosh mein aana bhul gaye. Asbab to ban hi jaate hain taqdir ki zid ko kya kahiye, Ek jaam lo pahuncha tha hum tak hum jaam uthana bhul gaye. Aaye the bikhere zulfon ko ek …
Read More »Zakhm Dil Ke Agar Siye Hote..
Zakhm dil ke agar siye hote, Ahl-e-dil kis tarah jiye hote. Wo mile bhi to ek jhijhak si rahi, Kash thodi si hum piye hote. Aarzoo mutmain to ho jati, Aur bhi kuchh sitam kiye hote. Lazzat-e-gham to bakhsh di us ne, Hausle bhi “Adam” diye hote. !! ज़ख़्म दिल …
Read More »