Ek Nazm-Danish war kahlane walo, Tum kya samjho, Mubham chizen kya hoti hain, Thal ke registan mein rahne wale logo.. Tum kya jaano, Sawan kya hai, Apne badan ko, Raat mein andhi tariki se.. Din mein khud apne hathon se, Dhanpne walo, Uryan logo, Tum kya jaano.. Choli kya hai …
Read More »Aanis Moin
Tu Mera Hai..
Tu mera hai, Tere man mein chhupe hue sab dukh mere hain, Teri aankh ke aansu mere, Tere labon pe nachne wali ye masum hansi bhi meri.. Tu mera hai, Har wo jhonka, Jis ke lams ko, Apne jism pe tu ne bhi mahsus kiya hai.. Pahle mere hathon ko, …
Read More »Kitne Hi Ped Khauf-E-Khizan Se Ujad Gaye..
Kitne hi ped khauf-e-khizan se ujad gaye, Kuchh barg-e-sabz waqt se pahle hi jhad gaye. Kuchh aadhiyan bhi apnī muavin safar mein thi, Thak kar padav dala to kheme ukhad gaye. Ab ke meri shikast mein un ka bhi haath hai, Woh tir jo kaman ke panje mein gad gaye. …
Read More »Ye Aur Baat Ki Rang-E-Bahaar Kam Hoga..
Ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hoga, Nayi ruton mein darakhton ka bar kam hoga. Talluqat mein aayi hai bas ye tabdili, Milenge ab bhi magar intezaar kam hoga. Main sochta raha kal raat baith kar tanha, Ki is hujum mein mera shumar kam hoga. Palat to aayega shayad kabhi …
Read More »Ajab Talash-E-Musalsal Ka Ikhtitam Hua..
Ajab talash-e-musalsal ka ikhtitam hua, Husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua. Tha intezaar manayenge mil ke diwali, Na tum hi laut ke aaye na waqt-e-sham hua. Har ek shahr ka mear mukhtalif dekha, Kahin pe sar kahin pagdi ka ehtiram hua. Zara si umar adawat ki lambi fehristen, Ajib qarz …
Read More »Ye Qarz To Mera Hai Chukayega Koi Aur..
Ye qarz to mera hai chukayega koi aur, Dukh mujh ko hai aur nir bahayega koi aur. Kya phir yunhi di jayegi ujrat pe gawahi, Kya teri saza ab ke bhi payega koi aur. Anjam ko pahunchunga main anjam se pahle, Khud meri kahani bhi sunayega koi aur. Tab hogi …
Read More »Jiwan Ko Dukh Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Pani Kahte..
Jiwan ko dukh dukh ko aag aur aag ko pani kahte, Bachche lekin soye hue the kis se kahani kahte. Sach kahne ka hausla tum ne chhin liya hai warna, Shehar mein phaili virani ko sab virani kahte. Waqt guzarta jata aur ye zakhm hare rahte to, Badi hifazat se …
Read More »Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi..
Wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi, Ajib shakhs hai apna bhi hai paraya bhi. Ye intezaar sahar ka tha ya tumhara tha, Deeya jalaya bhi main ne deeya bujhaya bhi. Main chahta hun thahar jaye chashm-e-dariya mein, Larazta aks tumhara bhi mera saya bhi. Bahut mahin tha parda …
Read More »Ek Karb-E-Musalsal Ki Saza Den To Kise Den..
Ek karb-e-musalsal ki saza den to kise den, Maqtal mein hain jine ki dua den to kise den. Patthar hain sabhi log karen baat to kis se, Is shahr-e-khamoshan mein sada den to kise den. Hai kaun ki jo khud ko hi jalta hua dekhe, Sab hath hain kaghaz ke …
Read More »Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai..
Bahar bhi ab andar jaisa sannata hai, Dariya ke us par bhi gehra sannata hai. Shor thame to shayad sadiyan bit chuki hain, Ab tak lekin sahma sahma sannata hai. Kis se bolun ye to ek sahra hai jahan par, Main hun ya phir gunga behra sannata hai. Jaise ek …
Read More »