December jab se aaya hai mere khaamosh kamre mein.., Mere bistar pe bikhri sab kitaabein bhig jaati hain..!! दिसंबर जब से आया है मेरे खामोश कमरे में.., मेरे बिस्तर पे बिखरी सब किताबें भीग जाती हैं..!!
Read More »Dekh Kaise Baras Raha Hai Udas Pani..
Dekh Kaise Baras Raha Hai Udas Pani.. { Silan – Gulzar Nazm } Bas ek hi sur mein ek hi lai pe subh se dekh Dekh kaise baras raha hai udas pani Phuhaar ke malmalin dupatte se ud rahe hain Tamam mousam tapak raha hai Palak palak ris rahi hai …
Read More »Main Udte Hue Panchhiyon Ko Daraata Hua..
Main Udte Hue Panchhiyon Ko Daraata Hua.. { Waqt 1 – Gulzar Nazm } ! Main udte hue panchhiyon ko daraata hua Kuchalta hua ghas ki kalghiyan Giraata hua gardanen in darakhton ki chhupta hua Jin ke pichhe se Nikla chala ja raha tha wo sooraj Taaqub mein tha uske …
Read More »Dur Sunsan Se Sahil Ke Qarib..
Dur Sunsan Se Sahil Ke Qarib.. { Landscape – Gulzar Nazm } ! Dur sunsan se sahil ke qarib Ek jawan ped ke pas Umar ke dard liye, waqt ka matiyala dushaala odhe Budha sa pam ka ek ped, khada hai kab se Saikdon salon ki tanhaai ke baad Jhuk …
Read More »Faza Ye Budhi Lagti Hai..
Faza Ye Budhi Lagti Hai.. { Faza – Gulzar Nazm } ! Faza ye budhi lagti hai Purana lagta hai makan Samundaron ke paniyon se nil ab utar chuka Hawa ke jhonke chhute hain to khurdure se lagte hain Bujhe hue bahut se tukde aaftab ke Jo girte hain zameen …
Read More »Siddharth Ki Ek Raat..
Siddharth Ki Ek Raat.. Gulzar Nazm ! Koi patta bhi nahi hilta, na pardon mein hai jumbish Phir bhi kanon mein bahut tez hawaon ki sada hai Kitne unche hain ye mehrab mahal ke Aur mehrabon se uncha wo sitaron se bhara thaal falak ka Kitna chhota hai mera qad …
Read More »Dhoop Lage Aakash Pe Jab..
Dhoop Lage Aakash Pe Jab.. Gulzar Nazm ! Dhoop lage aakash pe jab Din mein chaand nazar aaya tha Dak se aaya mohr laga Ek purana sa tera chitthi ka lifafa yaad aaya Chitthi gum hue to arsa bit chuka Mohr laga bas matiyala sa Us ka lifafa rakha hai. …
Read More »Ek Adakar Hun Main..
Ek Adakar Hun Main.. Gulzar Nazm ! Ek adakar hun main Main adakar hun nan Jini padti hain kai zindagiyan ek hayati mein mujhe Mera kirdar badal jata hai har roz nai seat par Mere haalat badal jate hain Mera chehra bhi badal jata hai afsana-o-manzar ke mutabiq Meri aadat …
Read More »Aath Hi Billion Umar Zameen Ki Hogi Shayad..
Aath Hi Billion Umar Zameen Ki Hogi Shayad.. Gulzar Nazm ! Aath hi billion umar zameen ki hogi shayad Aisa hi andaza hai kuch science ka Char eshaariya billion salon ki umar to bit chuki hai Kitni der laga di tum ne aane mein Aur ab mil kar Kis duniya …
Read More »Char Tinke Utha Ke Jangal Se..
Char Tinke Utha Ke Jangal Se.. { Khana-Ba-Dosh – Gulzar Nazm } ! Char tinke utha ke jangal se Ek baali anaj ki le kar Chand qatre bilakte ashkon ke Chand faqe bujhe hue lab par Mutthi bhar apni qabr ki mitti Mutthi bhar aarzuon ka gara Ek tamir ki, …
Read More »