Wafa mein ab ye hunar ikhtiyar karna hai, Wo sach kahe na kahe aitebaar karna hai. Ye tujh ko jagte rahne ka shouq kab se hua, Mujhe to khair tera intezar karna hai. Hawa ki zad mein jalne hain aansoon ke chiraagh, Kabhi ye jashan sar-e-rah guzaar karna hai. Wo …
Read More »Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle..
Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle, Bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle. Dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par, Wo khoon jo chashm-e-tar se umar bhar yun dam-b-dam nikle. Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin, Bahut be-abru ho …
Read More »Aam hukm-e-sharab karta hun..
Aam hukm-e-sharab karta hun, Mohtasib ko kabab karta hun. Tuk to rah ai bina-e-hasti tu, Tujh ko kaisa kharab karta hun. Bahs karta hun ho ke abjad-khwan, Kis qadar be-hisab karta hun. Koi bujhti hai ye bhadak mein abas, Tishnagi par itab karta hun. Sar talak aab-e-tegh mein hun gharq, …
Read More »Koi anees koi aashna nahi rakhte..
Koi anees koi aashna nahi rakhte, Kisi ki aas baghair az khuda nahi rakhte. Kisi ko kya ho dilon ki shikastagi ki khabar, Ki tutne mein ye shishe sada nahi rakhte. Faqir dost jo ho hum ko sarfaraaz kare, Kuch aur farsh ba-juz boriya nahi rakhte. Musafiro shab-e-awwal bahut hai …
Read More »Aadmi waqt par gaya hoga..
Aadmi waqt par gaya hoga, Waqt pahle guzar gaya hoga. Wo hamari taraf na dekh ke bhi, Koi ehsan dhar gaya hoga. Khud se mayus ho ke baitha hun, Aaj har shakhs mar gaya hoga. Sham tere dayar mein aakhir, Koi to apne ghar gaya hoga. Marham-e-hijr tha ajab iksir, …
Read More »Aakhiri mulaqat..
Mat roko inhe pas aane do Ye mujh se milne aaye hain Main khud na jinhe pahchan sakun Kuch itne dhundle saye hain Do panv bane hariyali par Ek titli baithi dali par Kuch jagmag jugnu jangal se Kuch jhumte hathi baadal se Ye ek kahani nind bhari Ek takht …
Read More »Ek nazar hi dekha tha shauq ne shabab un ka..
Ek nazar hi dekha tha shauq ne shabab un ka, Din ko yaad hai un ki raat ko hai khwab un ka. Gir gaye nigahon se phul bhi sitare bhi, Main ne jab se dekha hai aalam-e-shabab un ka. Nasehon ne shayad ye baat hi nahi sochi, Ek taraf hai …
Read More »Kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain..
Kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain, Bahut aage gaye baqi jo hain tayyar baithe hain. Na chhed ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni, Tujhe atkheliyan sujhi hain hum be-zar baithe hain. Khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saqi, Gharaz kuch aur dhun mein is ghadi …
Read More »Hum un se agar mil baithe hain kya dosh hamara hota hai..
Hum un se agar mil baithe hain kya dosh hamara hota hai, Kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishaara hota hai. Katne lagi raaten aankhon mein dekha nahi palkon par aksar, Ya sham-e-ghariban ka jugnu ya subh ka tara hota hai. Hum dil ko liye har desh phire …
Read More »Phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal..
Phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal, Shayad mile ghazal ka pata us gali mein chal. Kab se nahi hua hai koi sher kaam ka, Ye sher ki nahi hai faza us gali mein chal. Woh baam-o-dar wo log wo ruswaiyon ke zakhm, Hain sab ke …
Read More »