Hamare shauq ki ye intiha thi, Qadam rakkha ki manzil rasta thi. Bichhad ke Dar se ban ban phira wo, Hiran ko apni kasturi saza thi. Kabhi jo khwab tha wo pa liya hai, Magar jo kho gayi wo chiz kya thi. Main bachpan mein khilaune todta tha, Mere anjam …
Read More »Kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain..
Kamar bandhe hue chalne ko yaan sab yaar baithe hain, Bahut aage gaye baqi jo hain tayyar baithe hain. Na chhed ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni, Tujhe atkheliyan sujhi hain hum be-zar baithe hain. Khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saqi, Gharaz kuch aur dhun mein is ghadi …
Read More »Na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai..
Na mera makan hi badal gaya na tera pata koi aur hai, Meri rah phir bhi hai mukhtalif tera rasta koi aur hai. Pas-e-marg khak huye badan wo kafan mein hon ki hon be-kafan, Na meri lahad koi aur hai na teri chita koi aur hai. Wo jo mahr bahr-e-nikah …
Read More »Agar talash karun koi mil hi jayega..
Agar talash karun koi mil hi jayega, Magar tumhari tarah kaun mujh ko chahega. Tumhein zarur koi chahaton se dekhega, Magar wo aankhen hamari kahan se layega. Na jaane kab tere dil par nayi si dastak ho, Makan khali hua hai to koi aayega. Main apni rah mein diwar ban …
Read More »famous two line poetry of Asghar Gondvi
Chala jaata hun hansta khelta mauj-e-havadis se, Agar aasaniyan hon zindagi dushwaar ho jaaye. चला जाता हूँ हँसता खेलता मौज-ए-हवादिस से, अगर आसानियाँ हों ज़िंदगी दुश्वार हो जाए ! Aks kis cheez ka aaina-e-hairat mein nahi, Teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahi. अक्स किस चीज़ का …
Read More »Kyun kisi aur ko dukh-dard sunaun apne..
Kyun kisi aur ko dukh-dard sunaun apne, Apni aankho mein bhi main zakhm chhupaun apne. Main to qaem hun tere gham ki badaulat warna, Yun bhikhar jaun ki khud ke haath na aaun apne. Sher logon ko bahut yaad hai auron ke liye, Tu mile to main tujhe sher sunaun …
Read More »Kuch toh apni nishaniya rakh ja..
Kuch toh apni nishaniya rakh ja, In kitabo mein titliya rakh ja. Log thak haar kar lout na jaye, Raste mein kahaniya rakh ja. Muntzir koi toh mile mujhko, Ghar ke baahar udasiyan rakh ja. In darkhton se fal nahi girte, Inke najdik aandhiyan rakh ja. Ho raha hai agar …
Read More »Wo bhi kya log the aasan thi raahen jinki..
Wo bhi kya log the aasan thi raahen jinki, Band aankhe kiye ek simt chale jate the, Akl-o-dil khwab-o-haqikat ki na uljhan na khalish, Mukhtlif jalwe nigahon ko na bahlate the. Ishq saada bhi tha bekhud bhi junupesha bhi, Husn ko apni adaon pe hijab aata tha, Phool khilte the …
Read More »Deep tha ya taara kya jaane..
Deep tha ya taara kya jaane, Dil mein kyon dooba kya jaane. Gul par kya kuch beet gayi hai, Albela jhonka kya jaane. Aas ki maili chaadar odhe, Woh bhi tha mujh sa kya jaane. Reet bhi apni rutt bhi apni, Dil rasm-e-duniya kya jaane. Ungli thaam ke chalne wala, …
Read More »